Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon Lyrics

in

"Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon" Song Details:

Movie: Ehsan
Singer(s):Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist(s):Majrooh Sultanpuri
Composer(s):R. D. Burman
Music Director(s):R. D. Burman
Genre(s):Romantic
Director(s):Shiv Kumar
Music Label:© Saregama
Starring:Joy Mukherjee, Anjana, Madan Puri, Helen, Rajendra Nath, K N Singh, Aruna Irani, Sulochana Chatterjee, Johny Whiskey

Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon Lyrics – Asha Bhosle, Mohammed Rafi

lyricsbogie.com
Aaja tujhe pyaar kar
Loon o jaan e jaana
Tera mra kya karega
Sanam zamana
Roke toh koyi hum
Daud ke milenge
Deewaar julm ki hum
Tod ke milenge ta ra ra ra
Aaja tujhe pyaar kar
Loon o jaan e jaana
Tera mera kya karega
Sanam zamana

Kal tak thi main jahaan ki magar
Abb dulhan hoon main saiyaan teri
Abb jaaye praan chaahe
Jiya re na chhodungi
Main baiyaan teri
Abb tak toh chali hai jag
Mein deewaano ki matwaalon ki
Haq leke rahenge apna
Jai bolo re dilwaalon ki ta ra ra ra
Aaja tujhe pyaar
Kar loon o jaan e jaana
Tera mera kya
Karega sanam zamana

Itana bhaari sheher
Toh hai magar
Chhupkar milane
Ki jagah nahi
Waapas kyun hum
Chale wahaan jahaan
Ulfat karane ki jagah nahi
Yeh pyaar ki dushman
Basti basti se dur nikalake
Chaahe koi hamein kahe
Jangali jungle mein rahenge chalake
Aaja aaja aaja tujhe
Pyaar kar loon o jaan e jaana
Tera mera kya
Karega sanam zamana

Pyaasa hoga agar kabhi sajan
Ganga ban jaaungi tere liye
Bhuka hoga agar
Kabhi balam laddu
Ban jaaungi tere liye
Hai ek umar dono ki
Ulfat mein rahenge khoye
Main teri bagal mein jaagu
Tu mere bagal
Mein soye ta ra ra ra
Aaja tujhe pyaar
Kar loon o jaan e jaana
Tera mera kya karega
Sanam zamana
Roke toh koyi hum
Daud ke milenge
Deewaar julm ki hum
Tod ke milenge ta ra ra ra
Aaja tujhe pyaar kar
Loon o jaan e jaana
Tera mera kya
Karega sanam zamana.

Aaja Tujhe Pyaar Kar Loon Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.