Cha Rahi Kaali Ghata Lyrics – Hina Nasrullah, Amanat Ali
Chha rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai

Chha rahi kaali ghaṭa
Sun ri koyal baanwari tu
Sun ri koyal baanwari tu kyoon malhaar gaaye hai
Chha rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Suno na suno na
Dil ki to zubaan naheen magar yeh bolta hai tum se jo
Poochh lo, poochho na
Yeh dhadkanon mein kya chhupa raha hai, aa ke khud hi jaan lo
Main kaise karoon bayaan ke darmiyaan hijaab hain
Keh meri peehu peehu mein dard be-hisaab hain

Ay papeeha aa idhar main bhi saraapa dard hoon
Aam par kyoon jam raha hai main bhi to aisi zard hoon
Farq itna hai ki us mein
Farq itna hai ki us mein ras hai mujh mein haaye hai
Chha rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Chha rahi kaali ghaṭa
Aafaton mein jaan o dil ka ḍaalna be-kaar hai
Be-wafa se dil laga kar
Be-wafa se dil laga kar kya koyi phal paaye hai
Chha rahi
Ay papeeha chup khuda ke waaste tu ho zara
Raat aadhi ho chuki hai ab tujhe kya ho gaya

Teri pi pi se papeeha
Teri pi pi se papeeha pi mujhe yaad aaye hai
Chha rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Main kaise karoon bayaan keh darmiyaan hijaab hain
Ki meri peehu peehu mein dard be-hisaab hain

Chha rahi kaali ghaṭa jiya mora..