Dil Dhoondhta Hai Phir Wahi Lyrics – Bhupinder Singh
Wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir
Wahi fursat ke
Raat din baithhe rahen
Tasawwur e jaana kiye huye
Dil dhoondhta hai phir
Wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir wahie
Jaadon ki narm dhoop
Aur aangan mein let kar
Jaadon ki narm dhoop
Aur aangan mein let kar
Aankhon pe kheench kar
Tere daaman ke saaye ko
Aankhon pe kheench kar
Tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahen
Kabhi karwat liye huye
Dil dhoondhta hai
O dil dhoondhta hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir wohi
Yaa garmiyon ki raat
Jo purwaayiaan chale
Yaa garmiyon ki raat
Jo purwaayiaan chale
Thhandi shafed chaadaron
Pe jaagen der tak
Thhandi shafed chaadaron
Pe jaagen der tak
Taaron ko dekhte rahen
Chhat par pade huye
Dil dhoondhta hai
O dil dhoondhta hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir wohi
Barfeeli sardiyon mein
Kisi bhi pahaad par
Barfeeli sardiyon mein
Kisi bhi pahaad par
Waadi mein goonjti huyi
Khaamoshiyaan sunen
Waadi mein goonjti
Huyi khaamoshiyaan sunen
Aankhon mein bheege
Bheege se lamhe liye huye
Dil dhoondhta hai
O dil dhoondhta hai phir
Wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir
Wahi fursat ke raat din
Baithhe rahen
Tasawwur e jaana kiye huye
Dil dhoondhta hai
Phir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai phir wahi.