Garam Hai Loha Lyrics

in

"Garam Hai Loha" Song Details:

Movie: Teenmoti (1995)
Singer(s):Alisha Chinai
Lyricist(s):Nawab Arzoo
Composer(s):Dilip Sen, Sameer Sen
Music Director(s):Dilip Sen, Sameer Sen
Genre(s):Masti
Director(s):Ajit Dewani
Starring:Rashid Khan, Sheeba, Vandana, Suman, Avtar Gill, Sonika Gill, Shakti Kapoor, Mushtaq, Deepak Shirke
Release on:26th May, 1995

Garam Hai Loha Lyrics – Alisha Chinai

lyricsbogie.com
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda
Aaja meri pyas bujhade
Kali ko chuke phool banale
Aisa mauka phir na milega
Jo tune choda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda

Ye dhak dhak mera dil dhadke
Najar bahke badan tadpe
Jo chehre pe pasina hai
Jawani ka nagina hai
Teri baho mein jina hai
Dhire dhire bat badhegi
Pahlu mein aaja rat dhalegi
Zulfo mein tujhko milungi
Ab jo muh moda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda

Abhi to rat aadhi hai
Abhi to bat aadhi hai
Abhi to pyar karna hai
Abhi ikrar karna hai
Ye dil tujhko hi dena hai
Husn ke sato rang dikha du
Ang ang se bijli gira du
Phir ladega bindiya kangana
Resham ka joda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda

Main tan man ki jalan de du
Ye hotho ki agan de du
Teri sanso mein ghul jau
Mai tujhme aise mil jau
Sharab ban ke pighal jau
Teer hu main aur tu hai nishana
Aaj bana du tujhe diwana
Main sharmau tu
Ghabraye par thoda thoda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda
Aaja meri pyas bujhade
Kali ko chuke phool banale
Aisa mauka phir na milega
Jo tune choda
Garam hai loha mar hathoda
Rang jama hai thoda thoda.

Garam Hai Loha Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *