Kabhi Raat Din Hum Door The Lyrics

in

Kabhi Raat Din Hum Door The Lyrics, is a Hindi Love song from the soundtrack of the Indian Hindi film Aamne Saamne. The song is sung by Lata Mangeshkar and Mohammed Rafi and composed by Anandji Virji Shah and Kalyanji Virji Shah, with lyrics of Kabhi Raat Din Hum Door The provided by Anand Bakshi. The film Aamne Saamne features Shashi Kapoor, Sharmila Tagore and Prem Chopra in a lead role.

"Kabhi Raat Din Hum Door The" Song Details:

Movie: Aamne Saamne
Singer(s):Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist(s):Anand Bakshi
Composer(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Genre(s):Love
Director(s):Suraj Prakash
Music Label:© Saregama
Starring:Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, Prem Chopra

Kabhi Raat Din Hum Door The Lyrics – Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Kabhi raat din hum dur the
Din raat ka abb saath hai
Kabhi raat din hum dur the
Din raat ka abb saath hai
Woh bhi itefaaq ki baat thi
Yeh bhi itefaaq ki baat hai
Woh bhi itefaaq ki baat thi,
Yeh bhi itefaaq ki baat hai
Kabhi raat din hum dur the

Teri aankh mein hai khumaar sa
Meri chaal mein hai surur sa
Teri aankh mein hai khumaar sa
Meri chaal mein hai surur sa
Yeh bahaar kuchh hai piye huye
Yeh sama nashe mein hai chur sa
Yeh sama nashe mein hai chur sa
Kabhi iin fijaao mein pyaas thi
Abb mausame barsaat hai
Woh bhi itefaaq ki baat thi
Yeh bhi itefaaq ki baat hai
Kabhi raat din hum dur the

Mujhe tumne kaise badal diya
Hairaan hoon main iss baat par
Mujhe tumne kaise badal diya
Hairaan hoon main iss baat par
Mera dil dhadakata hai aajkal
Teri shaukh najaro se puchhkar
Teri shaukh najaro se puchhkar
Meri jaan kabhi mere bas mein thi
Abb jindagi tere haath hai
Woh bhi itefaaq ki baat thi
Yeh bhi itefaaq ki baat hai
Kabhi raat din hum dur the

Yun hi aaj tak rahe hum juda
Tumhe kya mila hamein kya mila
Yun hi aaj tak rahe hum juda
Tumhe kya mila hamein kya mila
Kabhi tum khafa, kabhi hum khafa
Kabhi yeh gila, kabhi woh gila
Kabhi yeh gila, kabhi woh gila
Kitane bure the woh din sanam
Kitani haseen yeh raat hai
Woh bhi itefaaq ki baat thi
Yeh bhi itefaaq ki baat hai
Kabhi raat din hum dur the
Din raat ka abb saath hai
Kabhi raat din hum dur the.

 

Kabhi Raat Din Hum Door The Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.