Mera Gadha Gadhon Ka Lyrics

in

"Mera Gadha Gadhon Ka" Song Details:

Movie: Mehrban (1967)
Singer(s):Mehmood Ali, Mohammed Rafi
Lyricist(s):Rajendra Krishan
Composer(s):Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Director(s):Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Genre(s):Funny
Director(s):A. Bhimsingh
Music Label:© Saregama
Starring:Bharathi, Ramesh Deo, Sunil Dutt, Jankidas, Jayanthi, Padma Khanna, Raj Kishore

Mera Gadha Gadhon Ka Lyrics – Mehmood Ali, Mohammed Rafi

lyricsbogie.com
Mera gadha gadhon ka leader
Kahta hai ke dilli jakar
Sab mange apni kaum ki main
Manwa kar aaunga
Nahi to ghas na khaunga

Mera gadha gadhon ka leader
Kahta hai ke dilli jakar
Sab mange apni kaum ki main
Manwa kar aaunga
Nahi to ghas na khaunga
Mera gadha gadhon ka leader

Sabse pehli mang humari
Dhobhi raz hata do
Sabse pehli mang humari
Dhobhi raz hata do
Ab na sahenge danda chahe
Fansi par latka to
Agar na mani sarkar
Kiya inkar to u n o tak jaunga
Nahi to ghas na khaunga
Mera gadha gadhon ka leader

Duji mang ke jat humari
Mehnat karne wali
Duji mang ke jat humari
Mehnat karne wali
Phir kyu yeh insaan gadhe ka
Naam samjhte gali
Na badla yeh dastur
To ho majbur
Main in par case chalaunga
Nahi to ghas na khaunga
Mera gadha gadhon ka leader

Tiji mang hamari humko
Dedo ek ek quarter
Tiji mang hamari humko
Dedo ek ek quarter
Hafte mein ek bar ghash ke
Badle mile tamatar
Agar kar do yeh ehsan
O meri jaan duaye deta jaunga
Kabhi na dilli aaunga
Mera gadha gadhon ka leader
Kahta hai ke dilli jakar
Sab mange apni kaum ki main
Manwa kar aaunga
Nahi to ghas na khaunga
Mera gadha gadhon ka leader.

Mera Gadha Gadhon Ka Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.