Musafiron Ka Koyi Aitbaar Mat Karna Lyrics

in

"Musafiron Ka Koyi Aitbaar Mat Karna" Song Details:

Album/Label: Dil Nawaaz (2005)
Singer(s):Ashok Khosla
Composer(s):Ashok Khosla
Music Director(s):Ashok Khosla
Genre(s):Ghazal
Music Label:© Universal Music
Starring:Ashok Khosla
Release on:31st May, 2005

Musafiron Ka Koyi Aitbaar Mat Karna Lyrics – Ashok Khosla

Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Jahan mile the wahan intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Main bach gaya hoon magar saare khaab dub gaye
Meri tarah se samandar ko paar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

lyricsbogie.com
Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Tumhari yaad kisi din agar na aaye mujhe
Meri hayat mein woh din shumaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Main neend hoon meri had hain tumhari palko tak
Badan jala ke meri intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna

Musafiron ka koyi aitbaar mat karna
Jahan mile the wahan intazaar mat karna
Musafiron ka koyi aitbaar mat karna.

Musafiron Ka Koyi Aitbaar Mat Karna Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *