Prabhu Tere Charan Pade Jahan Jahan Lyrics

in

"Prabhu Tere Charan Pade Jahan Jahan" Song Details:

Movie: Shiv Bhakta (1955)
Singer(s):Mohammed Rafi
Lyricist(s):Gopal Singh Nepali
Composer(s):Chitragupta Shrivastava
Music Director(s):Chitragupta Shrivastava
Genre(s):Bhakti
Director(s):H. L. M. Sinha
Music Label:© Saregama
Starring:Shahu Modak, Padmini Misra, Andari Bai, Ragini

Prabhu Tere Charan Pade Jahan Jahan Lyrics – Mohammed Rafi

Sansar tumhara yaha waha
Awtar tumhara kahi kahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi

Jag mein sabse nyari kashi
Hai vishnath jiske wasi
Jag mein sabse nyari kashi
Hai vishnath jiske wasi
Jiske sar se nikli ganga
Ab tak uske dho charan rahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi

lyricsbogie.com
Sadiyo se amar ujjain yaha
Hai mahakal ko chain jaha
Jo kal bali ka bhi swami
Us maha kal ka bhi dham yahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi

Tirtho ka raja rameshwar
Shankar ko jaha puje raghuwar
Bhagwan bhakat bhagwan dev
Dharti par aisa kahi nahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi

Ye kal hasti nirmal nagri
Ye kal hasti nirmal nagri
Hari har ke karan hari bhari
Nit jaha sambhu ki gathaye
Bhakto ne suni kaviyo ne kahi
Prabhu tere charan pade jahan jahan
Hai geet hamara wahi wahi.

Prabhu Tere Charan Pade Jahan Jahan Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.