Wapsi Ka Safar Lyrics – Ameeta Parsuram
Chali hai mazi mein
Tum hi bataao main khud
Ko kaha talaasah karu
Pighal pighal ke sada
Imtehaan ke aatish mein
Wajood dhal gaya mera
Ajeeb sanche mein
Wo ek wajood jo rishto
Mein kho gaya hai
Usi wajood ko phir
Se kaha talaash
Tarashna hai naya
Ek mujhsama ya phir
Main apne gumshuda
Hisso ko phir talaash karu
Tum hi bataao main khud
Ko kaha talaasah karu
Sawal yeh hai ki tum se
Hi kyun mukhatib hun
Chalo bataau tumhe
Tumse kyun sawal kiya
Tum hi pe aake ruka tha
Mohabbato ka safar
Tum hi ho aakhri
Pehachaan mere hone ki
To kyun na tumse hi shuru
Ho ye wapsi ka safar
Tumhare pyaar ke badle
Jo pyaar tumko diya
Meri wafao ne jo
Ikhtiyaar tumko diya
Wo ikhtiyar jo tumne
Kafas mein dhaal diya
Usi kafas se rihaai hai
Ibtedaa meri
Tumhare naam kiya tha
Jo umra ka hissa
Yeh iltja hai meri
Aaj mujhko lauta do
Bada kathin hai jo yeh
Meri wapsi ka safar
Rihaai deke mujhe
Aaja mujhse milva do
Rihaai deke mujhe
Aaja mujhse milva do.