Waqt Lyrics

in

Waqt Lyrics – The Hindi song is recorded by Paradox & presented by Paradox label company. The music is produced by An1k8t, while the lyrics of “Waqt” are penned by Paradox.

"Waqt" Song Details:

Label: Paradox
Singer(s):Paradox
Lyricist(s):Paradox
Music Director(s):An1k8t
Genre(s):Playful
Music Label:© Paradox

Waqt Lyrics – Paradox

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unse Na Milna Hua
Thodi Yaadein Reh Gayi
Baatein Reh Gayi Jaane Kya Raaton Mein Raha

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unse Na Milna Hua
Thodi Yaadein Reh Gayi
Baatein Reh Gayi Jaane Kya Raaton Mein Raha

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unko Main Padh Na Saka
Thodi Yaadein Reh Gayi Baatein Reh Gayi
Jaane Kya Aankhon Ne Kaha

Aankhon Ne Kaha Tha Aankhon Se
Ki Baatein Karte Rahenge
Zubaan Tumhari Aankhon Ne Nahi Di Thi Toh
Tauheen Na Karo

Nikal Jaate Hain Aaj Bhi Inhi Raahon Pe Raaton Mein
Pata Hai Nahi Miloge Tum
Kya Karein Hai Shauq E Aakrosh

Kash Roz Tumhe Bata Diya Hota Ki Nashe Ne Nahi
Tumhare Intezaar Ne Mera Yeh Haal Kiya
Kash Roz Tumse Tumhara Haal Puchne Ke Saath Saath
Bata Diya Hota Ki Mera Bhi Haal Kya Hai

Kash Tum Samajh Paate Ki Sawaal The
Par Fikr Thi Unke Peeche
Kash Tum Jawaab Mein Bas Itna Keh Dete
Ki Sawaal Pasand Nahi The Tumhe

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unse Na Milna Hua
Thodi Yaadein Reh Gayi
Baatein Reh Gayi Jaane Kya Raaton Mein Raha

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unko Main Padh Na Saka
Thodi Yaadein Reh Gayi
Baatein Reh Gayi Jaane Kya Aankhon Ne Kaha

Keh Toh Diya Tha Magar
Nibhana Kaise Hai Pata Nahi Tha Shayad
Seh Toh Liya Tha Magar
Sawarna Kaise Hai Pata Nahi Tha Shayad
Shayad Soch Liya Tha
Ki Hum Tum Aur Main Se Zyada Kareeb The Mere
Lekin Tum Aur Main
Kaafi Alag The Pata Nahi Tha Shayad

Maana Rihayi Maine Khud Hi Se De Di Thi Tumhe
Lekin Tum Toh Jadugar The Na
Tum Toh Mutthi Mein Ret Thaamna Bhi Jaante The
Haan Main Nadaan Tha
Lekin Meri Nadaani Tum Sambhaal Nahi Paaye
Kyun Tum Toh Sab Sambhaalna Jaante The

Ae Waqt Thehar Ja Zara
Abhi Unse Na Milna Hua
Thodi Yaadein Thodi Baatein
Jaane Kya Aankhon Ne Kaha

Ae Waqt Thehar Ja Zar

Waqt Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.