Aakhri Baar Lyrics

in

"Aakhri Baar" Song Details:

Label: Zee Music Company
Singer(s):Palash Muchhal, Parry G
Lyricist(s):Palash Muchhal, Parry G
Composer(s):Palash Muchhal
Music Director(s):Palash Muchhal
Genre(s):Love
Music Label:© Zee Music Company

Aakhri Baar Lyrics – Palash Muchhal, Parry G

Main aur tu kaafi the na thi koyi zaroorat
Dil bhi tera tere chehre jitna khoobsurat
Yehi soch ke main tujhmein poora kho gaya
Kya socha tha, kya se kya ho gaya

Main tujhko poochhun kya tha yeh
Tu kehti sab mazaak tha
Bandh gaya tha tujhse
Ab band ho gaya raasta
Hai tujhko mera vaasta
Jawab de sawal ka
Tere pyar ke jaal ka
Mere bure haal ka
Main abhi bhi yaad karke rota
Kitna kiya tha samjhauta
Jitna bada samjha humko
Utna ho gaya main chhota
Tujhe na kadar, tujhe na asar
Chhodi na toone koyi bhi kasar
Jaana chahata tujhse door
Phir bhi teri saari khabar
Par abhi na padta farak
Dil ki baat kehni thi
Ek aakhri baar teri bewafai sehni thi
Tere gulami se ho gaya hoon ab azaad
Dhayan se sunn le yeh baat ki

Aakhri baar kiya pyar tujhe
Aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe
Aakhri baar

lyricsbogie.com
Woh saare lamhe ab aate mere saamne
Jab base the ik dooje ke dil aur jaan mein
Jab basi thi saasein teri muskaan mein
Tabhi yeh faasle mere roz praan lein
Main abhi bhi wahin hoon
Tujhe yehi dhoond raha
Tu hi mujhe dikh rahi
Tera naam goonj raha
Barsaati thi mujh pe pyar ki baarish
Ab dhundne par bhi na milti hain boondein yahan
Haan!

Kyun kiya aisa chhod diya tadapne ko
Kyun di yaadein jab deni thi rakhne ko
Rasta bhatakne ko dil ka dard chakhne ko
Pehle hath pakda phir keh diya hatne ko
Itna aasaan tha to mujhko bhi sikha jaati
Keh doon teri khushbu mein din raat teri yaad aati
Lag raha hai khud se kar raha hoon baatein
Kahne na bachi koyi baat baaki

Aakhri baar
Socha hum dono ke baare mein
Aakhri baar
Mere saare jazbaat haare the
Aakhri baar
Jo sehna tha seh liya
Aakhri baar
Jo kehna tha keh diya

Aakhri baar kiya pyar tujhe
Aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe
Aakhri baar

Aakhri baar kiya pyar tujhe
Aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe
Aakhri baar.

Aakhri Baar Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *