Mantoiyat Lyrics

in

"Mantoiyat" Song Details:

Movie: Manto (2018)
Singer(s):Nawazuddin Siddiqui, Raftaar
Lyricist(s):Saadat Hasan Manto, Raftaar
Composer(s):Raftaar
Music Director(s):Raftaar
Genre(s):Motivational
Director(s):Nandita Das
Music Label:© Zee Music Company
Starring:Nawazuddin Siddiqui, Rasika Dugal, Tahir Raj Bhasin
Release on:21st September, 2018

Mantoiyat Lyrics – Nawazuddin Siddiqui, Raftaar

Raftaarrr…

Sawaal yeh hai ki
Jo cheez jaisi hai
Usey waise hi pesh kyu na kiya jaaye
Main toh bus aapni kahaaniyon ko
Ek aaina samjata hoon
Jisme samaaj apne aapko dekh sake

Aaina na dekhna chahe samaaj mera
Puche mera kal na dekhte yeh aaj mera
Khodate kharodate yeh meri galatiyan
Main bhi chal diya
Meri soch pe hai raj mera
Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale
Inpe zor na ki satya pe prakash daale
Bole sach jo uske cheere pe tezaab daale
Ghume phir khule me
Aur jaale jo wo nakaab daale
Off off off hai
Dimag sabka off hai
Zamaana kya kahega
Iska hi toh sabko khauff hai
Daabke jeete hai
Daabane ke yeh aadhi hai
SE☓ nishedh hai toh itni kyu abaadi hai
Log yeh hai aatma se khokhle
Khud kare toh thik baaki.. galat
Dogale!

lyricsbogie.com
Gaali de doon Hindi mein toh
Bole aisa kyun kiya
F**k kyun hai cool
Jaane galat kyu hai ch***ya

Kya iss tarah ke alfaz hame sadako pe sunayi nahi padte.
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Mujh par ilzam hai..
Mujh par ilzam hai..
Mujh par ilzam hai..
Manto ek insaan hai

Jaat mein yeh baatate hai
Baat ke yeh kaatate hai
Kaatne waale khat pe hai
Inki mauj raat mein hai
Laal batti wali gaddi
Glass inke hath mein hai
Rajneeti me hai chor
Police inke sath mein

Meri baate tumhe sach nahi lagti
Sacchi baate tumko yara pach nahi sakti
Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke
Ek pair kabar mein
Yeh bhookhe hain dahej ke
Betiyon ko maarte
Betiyan naa paalte
Betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte
Ladkiyan patake unko bandi bolte hai
Aur jo raazi na ho unko saale r**di bolte hain
Baap roz maa pe thos hath jo uthayega
Bezuban bolne se pehle seekh jaayega
Ki mard tab banega jab tu auratein daabayega
Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega

Main us society ki choli kya utaarunga
Jo pehle se hi nangi hai
Usey kapde pehnana mera kaam nahi hai
Main kaali takti par safed chalk istamaal karta hoon
Taaki kaali takti aur numaya ho jaaye
Manto ek insaan hai

Maine ghanto padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa baanu kare mera maan toh
Inn bando ko sach nahi dikhta
Sattar saal azaadi ke sach aaj bhi nahi bikta

Agar aap meri kahaaniyon ko
Bardasht nahi kar sakte
Toh iska matlab yeh hai
Ki zamaana hi naqabil-e-bardasht hai.

Mantoiyat Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *