Sataye Huye Ko Satati Lyrics – Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Sataaye huye ko sataati hai duniya
Mitaaye huye ko mitaati hai duniya
Manaati hai apne gharon mein deewali
Gareebon ke deepak bujhaati hai duniya
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya wale
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya wale
Baahar se ye tann ke ujle
Lekin mann ke kaale
Bahar se ye tann ke ujale
Lekin mann ke kaale
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya waale
Yahaan bekason ka thikaana nahin hai
Hamaari khushi chheen leti hai duniya
Koi din hamaara suhaana nahin hai
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya wale
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya waale
Bata kab talak yoonhi rehna padega
Sitam teri duniya ka sehna padega
Tujhi se hai shiqwa tujhi se shiqaayat
Tujhi se o maalik ye kehna padega
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya wale
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya waale
Baahar se ye tann ke ujle
Lekin mann ke kaale
O duniya waale kitne
Zaalim hain teri duniya waale.