Jaan-E-Jaan Lyrics

in

Jaan-E-Jaan Lyrics: This Hindi song is sung by Aditya Rikhari and Farhan Khan & released by T-Series record company. Music was composed by Ravator, with lyrics written by Aditya Rikhari and Farhan Khan.

"Jaan-E-Jaan" Song Details:

Label: T-Series
Singer(s):Aditya Rikhari, Farhan Khan
Lyricist(s):Aditya Rikhari, Farhan Khan
Music Director(s):Ravator
Genre(s):Playful
Music Label:© T-Series

Jaan-E-Jaan Lyrics – Aditya Rikhari, Farhan Khan

Kaisi Ulfat Hai Jaana
Dil Bhi Lagana Museebat Hai Jaana
Par Tu Badi Dilkash Hai Jaana
Tu Badi Dilkash Hai Jaana

Le Tere Ishq Mein Deewane Ki
Ho Gayi Kya Haalat Hai Jaana
Par Tu Badi Dilkash Hai Jaana

Le Haazir Phir Teri Khidmat Mein Jaana
Na Tu Haan Tu Mere Ishq Ko Aabaad Kar
Yun Kuch Yun Bhar Baahon Mein Ke Aazaad Kar
Tu Rakh Le Saansein Meri Girvi Magar
Ye Qarz De Ke Mujhse Kabhi Jaane Ki Na Phir Baat Kar

Le Jaane Ja Tera Hua
Jee Chahe Waise Kharch De
Kar De Dawa Har Dard Ki
Jee Bhar Ke Phir Se Mujhe Dard De

Kar Zaalima Ek Aur Dafa Barbaad
Par Is Shart Pe
Tere Hijr Gham Se Na Marein
to Maar Dena Mujhe Hans Ke

Baithe-Baithe Chaukhaton Pe Teri
Meri Jaana Kitne Hi Din Yun Hi Kat Gaye Hain
Bhoori-Bhoori Aankhein Jise Dekho Maar Daale
Mujhe Bhi Dekho Nazar Bhar Ke Hai

Jaan Ja Rahi Ho Par Tu Saamne
Jo Mere Dil Dekhe Tujhe Ruk-Ruk Ke Hai
Ye Mehndi Mere Naam Ki Hatheliyon Pe Teri Ho
Khudaya Aisa Kuch Kar De Hai

Sab Haar Baitha Teri Chaand Baaliyon Ke Sadqe
Teri Misaal Nisbat Ki Qawwaliyon Mein Darj Hai
Main Mamooli Sa Shayar Teri Tareefein Karoon
Tu Meri Shayari Pe Bajne Waali Taaliyon Se Badh Ke

Mujhe Zaroorat Teri Jaise Raat Ko Suhaati
Jaise Baat Ko Zabaan Ki Kandhe Saath Ko Khuda Ki
Tu Khwaab Mera Chaahoon Apne Khwaab Ko Main Paaloon
Tu Zaroorat Meri Jaise Uthe Haath Ko Dua Ki

Mere Sajdon Mein Shaamil Aur Namaazon Mein Bhi
Mere Gunaah Mein Shaamil Tu Meri Sharaab Mein Bhi
Aur Jab Sharaab Ban Ke Utre Mere Jism Mein Tu
Har Zarra-Zarra Tera Mera Kuch Bacha Hi Nahi

Le Jaane Ja Tera Hua Jee Chahe Waise Kharch De
Kar De Dawa Har Dard Ki Jee Bhar Ke Phir Se Mujhe Dard De
Kar Zaalima Ek Aur Dafa Barbaad Par Is Shart Pe
Tere Hijr Gham Se Na Marein to Maar Dena Mujhe Hans Ke

Jaan-E-Jaan Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.